ek to wada ki tumhein chhoD ke jaana bhi na tha
ek to wada ki tumhein chhoD ke jaana bhi na tha
Musavvir Firozpuri
MORE BYMusavvir Firozpuri
ik to va.ada ki tumheñ chhoḌ ke jaanā bhī na thā
dūsrā koī bichhaḌne kā bahāna bhī na thā
kāġhzī naav meñ sāmān mirā lākhoñ kā
aur dariyā ke sivā koī Thikānā bhī na thā
kaaT kar peḌ makāñ apnā banānā thā magar
un parindoñ ke makānoñ ko girānā bhī na thā
inqalāb aa.egā sunte haiñ zarūr aa.egā
thak ga.ī aañkh magar us ko sulānā bhī na thā
roz-e-avval se hī tum bāñdh ke rakhte sāmān
ab yahāñ dil nahīñ lagtā to lagānā bhī na thā
apne sheroñ se jarī kī hai tire āñchal kī
is se nāyāb mire paas ḳhazāna bhī na thā
ek to wada ki tumhein chhoD ke jaana bhi na tha
dusra koi bichhaDne ka bahana bhi na tha
kaghzi naw mein saman mera lakhon ka
aur dariya ke siwa koi Thikana bhi na tha
kaT kar peD makan apna banana tha magar
un parindon ke makanon ko girana bhi na tha
inqalab aaega sunte hain zarur aaega
thak gai aankh magar us ko sulana bhi na tha
roz-e-awwal se hi tum bandh ke rakhte saman
ab yahan dil nahin lagta to lagana bhi na tha
apne sheron se jari ki hai tere aanchal ki
is se nayab mere pas KHazana bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.