ek umr guzari hai bala-KHez ghuTan mein
ik 'umr guzārī hai balā-ḳhez ghuTan meñ
ab apne muqābil hī utar aa.e haiñ ran meñ
ik huur mirī jaan ke āzār baḌhā kar
phir chhup ke kahīñ baiTh ga.ī niil gagan meñ
ab dekhnā ye hai ki dhaḌaktā hai ye kitnā
thak haar ke dil lauT to aayā hai badan meñ
vanvās nahīñ hote sabhī chaudah baras ke
kuchh log hamesha ko chale jaate haiñ van meñ
bas duur se gahrā.ī kā andāza lagāo
tum jhāñk nahīñ pāoge darvesh ke man meñ
ek 'umr guzari hai bala-KHez ghuTan mein
ab apne muqabil hi utar aae hain ran mein
ek hur meri jaan ke aazar baDha kar
phir chhup ke kahin baiTh gai nil gagan mein
ab dekhna ye hai ki dhaDakta hai ye kitna
thak haar ke dil lauT to aaya hai badan mein
wanwas nahin hote sabhi chaudah baras ke
kuchh log hamesha ko chale jate hain wan mein
bas dur se gahrai ka andaza lagao
tum jhank nahin paoge darwesh ke man mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.