Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek wo hain ki wada koi ifa nahin karte

Naresh M. A

ek wo hain ki wada koi ifa nahin karte

Naresh M. A

MORE BYNaresh M. A

    ik vo haiñ ki va.ada koī iifā nahīñ karte

    ik ham haiñ ki is koī shikva nahīñ karte

    un to hai dastūr bhulā dete haiñ sab ko

    ham un ko kisī haal meñ bhūlā nahīñ karte

    ro ro ke shab-o-roz tire hijr meñ ai dost

    ham apnī mohabbat tamāshā nahīñ karte

    tum jin nigāhoñ meñ samā jaate ho phir vo

    duniyā kisī shai tamanna nahīñ karte

    āgāh-e-rah-o-rasm-e-mohabbat haiñ jo āshiq

    vo ḳhud ko fuġhāñ se kabhī rusvā nahīñ karte

    hai un ḳhushī meñ 'naresh' apnī masarrat

    ham apne ġham-o-dard parvā nahīñ karte

    ek wo hain ki wada koi ifa nahin karte

    ek hum hain ki is ka koi shikwa nahin karte

    un ka to hai dastur bhula dete hain sab ko

    hum un ko kisi haal mein bhula nahin karte

    ro ro ke shab-o-roz tere hijr mein ai dost

    hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte

    tum jin ki nigahon mein sama jate ho phir wo

    duniya ki kisi shai ki tamanna nahin karte

    aagah-e-rah-o-rasm-e-mohabbat hain jo aashiq

    wo KHud ko fughan se kabhi ruswa nahin karte

    hai un ki KHushi mein hi 'naresh' apni masarrat

    hum apne gham-o-dard ki parwa nahin karte

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now