ek wo ki apni zid pe barabar aDe rahe
ik vo ki apnī zid pe barābar aḌe rahe
ik ham ki intizār meñ pahroñ khaḌe rahe
dariyā-e-ishq kar liyā hotā ubuur maiñ
lekin mire nasīb meñ kachche ghaḌe rahe
jitne the kam-nigāh vo jalvoñ meñ kho ga.e
ahl-e-nazar kī aañkh pe parde paḌe rahe
ik shor jī huzūrī kā rahtā thā ās-pās
jab tak mire libās meñ hiire jaḌe rahe
hairat ki jin ko DhūñDe hai dariyā idhar udhar
dar par mire 'farāz' vo pyāse khaḌe rahe
ek wo ki apni zid pe barabar aDe rahe
ek hum ki intizar mein pahron khaDe rahe
dariya-e-ishq kar liya hota ubur main
lekin mere nasib mein kachche ghaDe rahe
jitne the kam-nigah wo jalwon mein kho gae
ahl-e-nazar ki aankh pe parde paDe rahe
ek shor ji huzuri ka rahta tha aas-pas
jab tak mere libas mein hire jaDe rahe
hairat ki jin ko DhunDe hai dariya idhar udhar
dar par mere 'faraaz' wo pyase khaDe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.