ek yaad so rahe ko uThati hai aaj bhi
ik yaad so rahe ko uThātī hai aaj bhī
ḳhud jāgtī hai mujh ko jagātī hai aaj bhī
ye kaisī mutriba hai jo chhup kar jahān se
dhīme suroñ meñ raat ko gaatī hai aaj bhī
sadiyāñ guzar ga.iiñ jise Duube hue yahāñ
us ko sadā-e-shauq bulātī hai aaj bhī
jis shahr-e-ārzū ke nishānāt miT ga.e
dil kī nigāh phir vahīñ jaatī hai aaj bhī
hoñToñ pe baar baar zabāñ phertā thā jo
us qāfile kī pyaas rulātī hai aaj bhī
parbat kī choTiyoñ pe vo rotī huī ghaTā
kis hādse pe niir bahātī hai aaj bhī
bas ek hī balā hai mohabbat kaheñ jise
vo pāniyoñ meñ aag lagātī hai aaj bhī
har roz aa ke ḳhvāb meñ pāzeb kī sadā
dhaḌkan hamāre dil kī baḌhātī hai aaj bhī
'hasrat' koī to kho gayā umr-e-azīz kā
jo nañge paañv dauḌtī jaatī hai aaj bhī
ek yaad so rahe ko uThati hai aaj bhi
KHud jagti hai mujh ko jagati hai aaj bhi
ye kaisi mutriba hai jo chhup kar jahan se
dhime suron mein raat ko gati hai aaj bhi
sadiyan guzar gain jise Dube hue yahan
us ko sada-e-shauq bulati hai aaj bhi
jis shahr-e-arzu ke nishanat miT gae
dil ki nigah phir wahin jati hai aaj bhi
honTon pe bar bar zaban pherta tha jo
us qafile ki pyas rulati hai aaj bhi
parbat ki choTiyon pe wo roti hui ghaTa
kis hadse pe nir bahati hai aaj bhi
bas ek hi bala hai mohabbat kahen jise
wo paniyon mein aag lagati hai aaj bhi
har roz aa ke KHwab mein pazeb ki sada
dhaDkan hamare dil ki baDhati hai aaj bhi
'hasrat' koi to kho gaya umr-e-aziz ka
jo nange panw dauDti jati hai aaj bhi
- Book : Tanveer-e-Fan (Pg. 72)
- Author : Author Ajeet Singh 'Hasrat',Compiled by Dr. Keval Dheer, Mitr Nikodari
- Publication : Dr. Bhajan Singh, 189 Model Gram, Ludhiana-02 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.