ek zaKHm roz chehre pe mere laga diya
ik zaḳhm roz chehre pe mere lagā diyā
maiñ aadmī thā mujh ko tamāshā banā diyā
dushman kī sarzamīñ thī mire sāmne magar
sāhil pe aa ke maiñ ne safīna jalā diyā
ham ne to zarre zarre meñ dekhā hai us kā nuur
muusā ko us ne tuur pe jalva dikhā diyā
duniyā ke hādsāt the chāroñ taraf magar
maañ kī du'ā ne mujh ko bahut hausla diyā
us din se band maiñ ne darīcha nahīñ kiyā
jis din se us ne aane kā muzhda sunā diyā
har shai se dil uchāT mirā ho gayā hai ab
duniyā ne kaisā āñkhoñ ko manzar dikhā diyā
allāh ke karam ko navāzish ko kyā kahūñ
'fārūq' maiñ to sahrā thā dariyā banā diyā
ek zaKHm roz chehre pe mere laga diya
main aadmi tha mujh ko tamasha bana diya
dushman ki sarzamin thi mere samne magar
sahil pe aa ke main ne safina jala diya
hum ne to zarre zarre mein dekha hai us ka nur
musa ko us ne tur pe jalwa dikha diya
duniya ke hadsat the chaaron taraf magar
man ki du'a ne mujh ko bahut hausla diya
us din se band main ne daricha nahin kiya
jis din se us ne aane ka muzhda suna diya
har shai se dil uchaT mera ho gaya hai ab
duniya ne kaisa aankhon ko manzar dikha diya
allah ke karam ko nawazish ko kya kahun
'faruq' main to sahra tha dariya bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.