ek zamana hua zaKHm khae hue
ik zamāna huā zaḳhm khaa.e hue
ek muddat huī muskurā.e hue
apnī palkoñ pe taare sajā.e hue
aap kī bazm meñ ham haiñ aa.e hue
kaun jaane ki ham muskurāte rahe
kitne ġham apne dil meñ chhupā.e hue
kis tarah se rahegā koī shādmāñ
ġham ke bādal hoñ jab sar pe chhā.e hue
muntazir kis ke 'dānish' ho tum shaam se
dil ke dāġhoñ kī sham'eñ jalā.e hue
ek zamana hua zaKHm khae hue
ek muddat hui muskurae hue
apni palkon pe tare sajae hue
aap ki bazm mein hum hain aae hue
kaun jaane ki hum muskuraate rahe
kitne gham apne dil mein chhupae hue
kis tarah se rahega koi shadman
gham ke baadal hon jab sar pe chhae hue
muntazir kis ke 'danish' ho tum sham se
dil ke daghon ki sham'en jalae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.