ek zarurat mein sarf ho gae the
ik zarūrat meñ sarf ho ga.e the
phir mire haath barf ho ga.e the
lafz kī tarah the kabhī ham log
aur phir harf harf ho ga.e the
shahr kī har galī kushāda thī
log hī tang-zarf ho ga.e the
saḳht garmī thī un dinoñ lekin
apne jazbāt barf ho ga.e the
jitne aañsū the merī āñkhoñ meñ
naujavānī meñ sarf ho ga.e the
ek zarurat mein sarf ho gae the
phir mere hath barf ho gae the
lafz ki tarah the kabhi hum log
aur phir harf harf ho gae the
shahr ki har gali kushada thi
log hi tang-zarf ho gae the
saKHt garmi thi un dinon lekin
apne jazbaat barf ho gae the
jitne aansu the meri aankhon mein
naujawani mein sarf ho gae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.