Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilahi bulbul-e-gulzar-mani kar lisan mera

Alimullah

ilahi bulbul-e-gulzar-mani kar lisan mera

Alimullah

MORE BYAlimullah

    ilāhī bulbul-e-gulzār-ma.anī kar lisāñ merā

    ba-rañg-e-abr-e-naisānī suḳhan gauhar-fishāñ merā

    sune par hoveñ ushshāqāñ ye ma.anī ramz suuñ sarmast

    le jāveñ faiz ġhavvās-e-haqīqat haq-rasāñ merā

    latāfat gulbun-e-husn jahāñ-ārā samajh ai dil

    huā hai zulf aur ruḳhsār-e-jānāñ āshiyāñ merā

    diyā hai āb-o-tāb-e-chashm daana ḳhāl-e-āriz

    kaho sab us ko ab qātil hai yārab dilsitāñ merā

    huā hai manzar-e-chashm-e-nazar manzūr-e-ushshāqāñ

    dar-o-dīvār suuñ distā nishān-e-be-nishāñ merā

    'alīmullāh' ḳhamosh ab ramz asrār-e-ilāhī

    samajhtā hai kahāñ har shaḳhs mastī bayāñ merā

    ilahi bulbul-e-gulzar-mani kar lisan mera

    ba-rang-e-abr-e-naisani suKHan gauhar-fishan mera

    sune par howen ushshaqan ye mani ramz sun sarmast

    le jawen faiz ghawwas-e-haqiqat haq-rasan mera

    latafat gulbun-e-husn jahan-ara samajh ai dil

    hua hai zulf aur ruKHsar-e-jaanan aashiyan mera

    diya hai aab-o-tab-e-chashm dana KHal-e-ariz ka

    kaho sab us ko ab qatil hai yarab dilsitan mera

    hua hai manzar-e-chashm-e-nazar manzur-e-ushshaqan

    dar-o-diwar sun dista nishan-e-be-nishan mera

    'alimullah' KHamosh ab ramz asrar-e-ilahi ka

    samajhta hai kahan har shaKHs masti ka bayan mera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now