ilaj-e-dard-e-dil-e-sogwar ho na saka
ilaj-e-dard-e-dil-e-sogwar ho na saka
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
ilāj-e-dard-e-dil-e-sogvār ho na sakā
vo ġham-navāz rahā ġham-gusār ho na sakā
bahut dikhā.e nigah ne tilism-e-rañgīnī
ḳhizāñ pe mujh ko gumān-e-bahār ho na sakā
junūñ ne laakh kiyā chaak jeb-o-dāmāñ ko
ye rāz-e-ishq magar āshkār ho na sakā
atā kiyā jise tū ne ġham-e-mohabbat-e-dost
vo dil asīr-e-ġham-e-rozgār ho na sakā
vo mujh pe lutf-e-mukarrar ke muntazir hī sahī
ye zikr mujh se magar baar baar ho na sakā
ilaj-e-dard-e-dil-e-sogwar ho na saka
wo gham-nawaz raha gham-gusar ho na saka
bahut dikhae nigah ne tilism-e-rangini
KHizan pe mujh ko guman-e-bahaar ho na saka
junun ne lakh kiya chaak jeb-o-daman ko
ye raaz-e-ishq magar aashkar ho na saka
ata kiya jise tu ne gham-e-mohabbat-e-dost
wo dil asir-e-gham-e-rozgar ho na saka
wo mujh pe lutf-e-mukarrar ke muntazir hi sahi
ye zikr mujh se magar bar bar ho na saka
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 78)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.