ilaj-e-dard-o-gham-e-zindagi kahan se laen
ilāj-e-dard-o-ġham-e-zindagī kahāñ se laa.eñ
kaho jo sabr kareñ sabr bhī kahāñ se laa.eñ
ye mehr-o-māh to is anjuman kī zīnat haiñ
ham apne ghar ke liye raushnī kahāñ se laa.eñ
ye sard sard sitāre dhuāñ dhuāñ mahtāb
jo dil ko phūñk de vo chāñdnī kahāñ se laa.eñ
hamāre sheroñ ne toḌe to haiñ hazār tilism
tirī nigāh kī jādū-garī kahāñ se laa.eñ
ilaj-e-dard-o-gham-e-zindagi kahan se laen
kaho jo sabr karen sabr bhi kahan se laen
ye mehr-o-mah to is anjuman ki zinat hain
hum apne ghar ke liye raushni kahan se laen
ye sard sard sitare dhuan dhuan mahtab
jo dil ko phunk de wo chandni kahan se laen
hamare sheron ne toDe to hain hazar tilism
teri nigah ki jadu-gari kahan se laen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.