Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilaj-e-hasrat-e-dil-gir kar raha hun main

Ahsan Lakhnavi

ilaj-e-hasrat-e-dil-gir kar raha hun main

Ahsan Lakhnavi

MORE BYAhsan Lakhnavi

    ilāj-e-hasrat-e-dil-gīr kar rahā huuñ maiñ

    muqaddarāt ta.amīr kar rahā huuñ maiñ

    tasavvurāt kircheñ sameT kar ek ik

    burīda ḳhvāb tafsīr kar rahā huuñ maiñ

    ki gūñdh kar mah-e-tābāñ zau-fishāñ kirneñ

    ilāj-e-zulmat-e-be-pīr kar rahā huuñ maiñ

    jagā ke fahm lau zehn ke darīchoñ meñ

    na.e nizām ko tahrīr kar rahā huuñ maiñ

    ye azm hai ki badal duuñ maiñ baḳht chehra

    ba-sad ḳhulūs ye tadbīr kar rahā huuñ maiñ

    hasīn raat kiran chāñd hinā mahak

    milā ke ab terī tasvīr kar rahā huuñ maiñ

    ilaj-e-hasrat-e-dil-gir kar raha hun main

    muqaddaraat ki tamir kar raha hun main

    tasawwuraat ki kirchen sameT kar ek ek

    burida KHwab ki tafsir kar raha hun main

    ki gundh kar mah-e-taban ki zau-fishan kirnen

    ilaj-e-zulmat-e-be-pir kar raha hun main

    jaga ke fahm ki lau zehn ke darichon mein

    nae nizam ko tahrir kar raha hun main

    ye azm hai ki badal dun main baKHt ka chehra

    ba-sad KHulus ye tadbir kar raha hun main

    hasin raat kiran chand ki hina ki mahak

    mila ke ab teri taswir kar raha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now