ilm bhī āzār lagtā hai mujhe
aadmī aḳhbār lagtā hai mujhe
chīḳhtī saḌkeñ dhuāñ petrol bū
shahr to bīmār lagtā hai mujhe
is qadar mahfūz rahtā hai ki vo
raam kā autār lagtā hai mujhe
roz nazmeñ kahnā chhapvānā kahīñ
ek kārobār lagtā hai mujhe
shā.erī achchhī burī ma.alūm hai
baaqī sab bekār lagtā hai mujhe
ilm bhi aazar lagta hai mujhe
aadmi aKHbar lagta hai mujhe
chiKHti saDken dhuan petrol bu
shahr to bimar lagta hai mujhe
is qadar mahfuz rahta hai ki wo
ram ka autar lagta hai mujhe
roz nazmen kahna chhapwana kahin
ek karobar lagta hai mujhe
shaeri achchhi buri malum hai
baqi sab bekar lagta hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.