ilm-o-fan chaDhta hai parwan baDi mushkil se
ilm-o-fan chaḌhtā hai parvān baḌī mushkil se
aadmī bantā hai insān baḌī mushkil se
saikḌoñ rāh-e-mohabbat meñ fanā hote haiñ
husn hotā hai pashemān baḌī mushkil se
ham to kyā ahl-e-nazar ko bhī huī hai aksar
dushman-o-dost kī pahchān baḌī mushkil se
shukriya aap ne dekhā hai mohabbat se hameñ
sar se utregā ye ehsān baḌī mushkil se
ka.aba-o-dair pe mauqūf nahīñ hai 'mashkūr'
puḳhtagī paatā hai īmān baḌī mushkil se
ilm-o-fan chaDhta hai parwan baDi mushkil se
aadmi banta hai insan baDi mushkil se
saikDon rah-e-mohabbat mein fana hote hain
husn hota hai pasheman baDi mushkil se
hum to kya ahl-e-nazar ko bhi hui hai aksar
dushman-o-dost ki pahchan baDi mushkil se
shukriya aap ne dekha hai mohabbat se hamein
sar se utrega ye ehsan baDi mushkil se
kaba-o-dair pe mauquf nahin hai 'mashkur'
puKHtagi pata hai iman baDi mushkil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.