ilm-o-hunar se qaum ko raghbat nahin rahi
ilm-o-hunar se qaum ko raġhbat nahīñ rahī
is par shikāyateñ ki fazīlat nahīñ rahī
badlegā kyā nizām kab aa.egā inqilāb
jab naujavāñ lahū meñ harārat nahīñ rahī
mazlūm ko dilā.e jo har zulm se najāt
aisī jahāñ meñ koī adālat nahīñ rahī
sajde meñ jā ke māñgnā be-kār ne.amateñ
kuchh bhī kaho use ye ibādat nahīñ rahī
fatve liye haiñ shaiḳh se pīr-e-muġhāñ ne ḳhaas
piine meñ ab zarā bhī qabāhat nahīñ rahī
masjid kā ruḳh kiyā hai janāb-e-'faroġh' ne
lagtā hai ab gunāh meñ lazzat nahīñ rahī
ilm-o-hunar se qaum ko raghbat nahin rahi
is par shikayaten ki fazilat nahin rahi
badlega kya nizam kab aaega inqilab
jab naujawan lahu mein hararat nahin rahi
mazlum ko dilae jo har zulm se najat
aisi jahan mein koi adalat nahin rahi
sajde mein ja ke mangna be-kar neamaten
kuchh bhi kaho use ye ibaadat nahin rahi
fatwe liye hain shaiKH se pir-e-mughan ne KHas
pine mein ab zara bhi qabahat nahin rahi
masjid ka ruKH kiya hai janab-e-'farogh' ne
lagta hai ab gunah mein lazzat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.