Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum to kahte the dam-e-aKHir zara susta na ja

Jurat Qalandar Bakhsh

hum to kahte the dam-e-aKHir zara susta na ja

Jurat Qalandar Bakhsh

ham to kahte the dam-e-āḳhir zarā sustā na

le, chale ham jaan se, muḳhtār hai ab na

le dil-e-betāb aatā hai vo kar le arz-e-hāl

dekhte us sūrat is qadar ghabrā na

tañg ho kar kis adā se vasl shab ko vo shoḳh

mujh se kahtā thā ki he he is qadar lipTā na

paas aanā gar nahīñ manzūr to aa aa ke shakl

az-rah-e-shoḳhī mujhe duur se dikhlā na

jā.ūñ jā.ūñ kyā kahe hai bas laḌā.ī ho chukī

pyaar se mere gale ab jān-e-jāñ lag na

kyā samāñ rakhtā hai vo mahfil se uThnā yaar

aur ishāroñ se mirā kahnā ki aa jānā, na

kahte haiñ aatā hai vo ai jaan bar-lab-āmada

ḳhudā ke vāste Tuk aur bhī rah na

ruuTh kar jab mujh se vo jaatā hai to kar zabt-e-āh

pahle to kahtā huuñ maiñ ''tū jaan ab na jaa''

lek uTh kar jab vo jaatā hai to be-tābī se maiñ

vuuñ kahtā huuñ ''tire qurbān jā.ūñ aa, na jaa''

loTtā hai 'jur.at'-e-betāb jaane se tire

yuuñ use taḌpā ke ai shoḳh-e-be-parvā, na

hum to kahte the dam-e-aKHir zara susta na ja

le, chale hum jaan se, muKHtar hai ab ja na ja

le dil-e-betab aata hai wo kar le arz-e-haal

dekhte hi us ki surat is qadar ghabra na ja

tang ho kar kis ada se wasl ki shab ko wo shoKH

mujh se kahta tha ki he he is qadar lipTa na ja

pas aana gar nahin manzur to aa aa ke shakl

az-rah-e-shoKHi mujhe tu dur se dikhla na ja

jaun jaun kya kahe hai bas laDai ho chuki

pyar se mere gale ab jaan-e-jaan lag ja na ja

kya saman rakhta hai wo mahfil se uThna yar ka

aur ishaaron se mera kahna ki aa jaana, na ja

kahte hain aata hai wo ai jaan bar-lab-amada

tu KHuda ke waste Tuk aur bhi rah ja na ja

ruTh kar jab mujh se wo jata hai to kar zabt-e-ah

pahle to kahta hun main tu jaan ab ja ya na ja

lek uTh kar jab wo jata hai to be-tabi se main

wun hi kahta hun tire qurban jaun aa, na ja

loTta hai 'jurat'-e-betab jaane se tere

yun use taDpa ke tu ai shoKH-e-be-parwa, na ja

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now