Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukhane baal hi koThe pe aa gae hote

Mohammad Alvi

sukhane baal hi koThe pe aa gae hote

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    sukhāne baal koThe pe aa ga.e hote

    isī bahāne zarā muñh dikhā ga.e hote

    tumheñ bhī vaqt raftār pata chaltā

    nikal ke ghar se galī tak to aa ga.e hote

    galā bhigo ke kahīñ aur sadā lagā letā

    zarā faqīr ko paanī pilā ga.e hote

    are ye Thiik huā hoñT liye ham ne

    vagarna log tujhe kab ga.e hote

    bhalā ho chāñd aate nuur pahuñchāyā

    sitāre hote to āñkheñ churā ga.e hote

    javān jismoñ ko ThanDā na kar sake lekin

    havā ke jhoñke diyā to bujhā ga.e hote

    sukhane baal hi koThe pe aa gae hote

    isi bahane zara munh dikha gae hote

    tumhein bhi waqt ki raftar ka pata chalta

    nikal ke ghar se gali tak to aa gae hote

    gala bhigo ke kahin aur sada laga leta

    zara faqir ko pani pila gae hote

    are ye Thik hua honT si liye hum ne

    wagarna log tujhe kab ka pa gae hote

    bhala ho chand ka aate hi nur pahunchaya

    sitare hote to aankhen chura gae hote

    jawan jismon ko ThanDa na kar sake lekin

    hawa ke jhonke diya to bujha gae hote

    Source :
    • Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 32)
    • Author :Mohammad Alvi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now