imarat ka koi nashsha nahin tha
imārat kā koī nashsha nahīñ thā
anā ke ghar se jab niklā nahīñ thā
mujhe to yaad hī aatā nahīñ hai
koī lamha ki jab taḌpā nahīñ thā
maiñ sab ke vāste achchhā thā lekin
usī ke vāste achchhā nahīñ thā
magar tashbīh us ko kis se dete
abhī to chāñd bhī niklā nahīñ thā
ajab ayyām-e-shauq-e-dīd guzre
kabhī rātoñ ko maiñ sotā nahīñ thā
hamāre ḳhvāb meñ saa.e ka.ī the
kisī ke dosh par chehra nahīñ thā
khulī jo aañkh to dekhā ye maiñ ne
abhī to hashr hī barpā nahīñ thā
imarat ka koi nashsha nahin tha
ana ke ghar se jab nikla nahin tha
mujhe to yaad hi aata nahin hai
koi lamha ki jab taDpa nahin tha
main sab ke waste achchha tha lekin
usi ke waste achchha nahin tha
magar tashbih us ko kis se dete
abhi to chand bhi nikla nahin tha
ajab ayyam-e-shauq-e-did guzre
kabhi raaton ko main sota nahin tha
hamare KHwab mein sae kai the
kisi ke dosh par chehra nahin tha
khuli jo aankh to dekha ye main ne
abhi to hashr hi barpa nahin tha
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.