in aandhiyon ke sath kai ghonsle gae
in āñdhiyoñ ke saath ka.ī ghoñsle ga.e
tum kyā ga.e ki mere to sab hausle ga.e
ik ḳhvāb maiñ ne dekhā thā pichhle pahar koī
agle pahar kī niiñd ke lo silsile ga.e
ik chāñd āsmān pe ik mere sāmne
in qurbatoñ meñ dil ke sabhī fāsle ga.e
haiñ hichkiyāñ bhī ġham kī aur aaheñ haiñ aañsū bhī
dekho ġharīb-e-shahr ki sab qāfile ga.e
in aandhiyon ke sath kai ghonsle gae
tum kya gae ki mere to sab hausle gae
ek KHwab main ne dekha tha pichhle pahar koi
agle pahar ki nind ke lo silsile gae
ek chand aasman pe ek mere samne
in qurbaton mein dil ke sabhi fasle gae
hain hichkiyan bhi gham ki aur aahen hain aansu bhi
dekho gharib-e-shahr ki sab qafile gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.