in andheron se le ke jaunga
in añdheroñ se le ke jā.ūñgā
maiñ tujhe raushnī dikhā.ūñgā
haath meñ lūñgā kāsa-e-ḳhurshīd
chāñdnī raat bhī sajā.ūñgā
tū jo dīvār meñ simaT aa.ī
dil bhī dīvār se lagā.ūñgā
vo jo mushkil se yaad kartā hai
us ko mushkil meñ yaad ā.ūñgā
sirf mānūñgā apne dil kī baat
koī va.ada nahīñ nibhā.ūñgā
haath rakkhūñgā tere hāthoñ par
aisī tasvīr ik banā.ūñgā
terī mahfil meñ ā.ūñgā lekin
kuchh sunūñgā na maiñ sunā.ūñgā
in andheron se le ke jaunga
main tujhe raushni dikhaunga
hath mein lunga kasa-e-KHurshid
chandni raat bhi sajaunga
tu jo diwar mein simaT aai
dil bhi diwar se lagaunga
wo jo mushkil se yaad karta hai
us ko mushkil mein yaad aaunga
sirf manunga apne dil ki baat
koi wada nahin nibhaunga
hath rakkhunga tere hathon par
aisi taswir ek banaunga
teri mahfil mein aaunga lekin
kuchh sununga na main sunaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.