in apne hathon se saghar mujhe pila to sahi
in apne hathon se saghar mujhe pila to sahi
Nasir Nazeer Firaq Dehlvi
MORE BYNasir Nazeer Firaq Dehlvi
in apne hāthoñ se sāġhar mujhe pilā to sahī
lagī hai dil meñ jo zālim use bujhā to sahī
banegī kyoñke sarāpā kī is tarah tasvīr
paḌā huā hai jo parda use uThā to sahī
is aa.ine meñ nazar aa.egā ḳhudā tujh ko
duī ke zang ko siine se tū haTā to sahī
qubūliyat jise kahte haiñ dauḌī aa.egī
du'ā ke vāste hāthoñ ko tū uThā to sahī
hilāl koī kahegā to koī phuul mujhe
ġham-e-firāq meñ puurā mujhe ghulā to sahī
na deñ bahisht jo tujh ko 'firāq' se kahnā
ġham-e-husain meñ aañsū koī bahā to sahī
in apne hathon se saghar mujhe pila to sahi
lagi hai dil mein jo zalim use bujha to sahi
banegi kyonke sarapa ki is tarah taswir
paDa hua hai jo parda use uTha to sahi
is aaine mein nazar aaega KHuda tujh ko
dui ke zang ko sine se tu haTa to sahi
qubuliyat jise kahte hain dauDi aaegi
du'a ke waste hathon ko tu uTha to sahi
hilal koi kahega to koi phul mujhe
gham-e-firaq mein pura mujhe ghula to sahi
na den bahisht jo tujh ko 'firaq' se kahna
gham-e-husain mein aansu koi baha to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.