in buton ki jo chah karte hain
in butoñ kī jo chaah karte haiñ
dil-o-dīñ ko tabāh karte haiñ
ham jo hūroñ se raah karte haiñ
vā.izo kyā gunāh karte haiñ
un se ham rasm-o-rāh karte haiñ
vo ḳharāb-o-tabāh karte haiñ
kyā uThā.eñge tere jaur raqīb
ham haiñ ye jo nibāh karte haiñ
mai-kashoñ ko burā na kah vaa.iz
kyā ye terā gunāh karte haiñ
dekhnā dam meñ pesh-e-dāvar-e-hashr
faisla dād-ḳhvāh karte haiñ
shauq se aao ḳhāna-e-dil meñ
āñkheñ ham farsh-e-rāh karte haiñ
shukr hai mujh ko apnī bazm meñ vo
yaad ab gaah gaah karte haiñ
dekhnā ham raqīb se mil kar
dil meñ us but ke raah karte haiñ
dil mirā aap hī hai ḳhāna-ḳharāb
aap ise kyoñ tabāh karte haiñ
bande tere hī ishq ke haiñ sanam
ham ḳhudā ko gavāh karte haiñ
haa.e jab mar chukā huuñ to vo ab
naama apnā siyāh karte haiñ
ham ko miltā hai rizq be-minnat
shukr-e-fazl-e-ilāh karte haiñ
in hasīnoñ se itnā kah do 'diler'
thaam leñ dil ham aah karte haiñ
in buton ki jo chah karte hain
dil-o-din ko tabah karte hain
hum jo huron se rah karte hain
waizo kya gunah karte hain
un se hum rasm-o-rah karte hain
wo KHarab-o-tabah karte hain
kya uThaenge tere jaur raqib
hum hain ye jo nibah karte hain
mai-kashon ko bura na kah waiz
kya ye tera gunah karte hain
dekhna dam mein pesh-e-dawar-e-hashr
faisla dad-KHwah karte hain
shauq se aao KHana-e-dil mein
aankhen hum farsh-e-rah karte hain
shukr hai mujh ko apni bazm mein wo
yaad ab gah gah karte hain
dekhna hum raqib se mil kar
dil mein us but ke rah karte hain
dil mera aap hi hai KHana-KHarab
aap ise kyon tabah karte hain
bande tere hi ishq ke hain sanam
hum KHuda ko gawah karte hain
hae jab mar chuka hun to wo ab
nama apna siyah karte hain
hum ko milta hai rizq be-minnat
shukr-e-fazl-e-ilah karte hain
in hasinon se itna kah do 'diler'
tham len dil hum aah karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.