in charaghon mein raushni Thahre
in charāġhoñ meñ raushnī Thahre
tū jo aa.e to zindagī Thahre
tujh ko dekheñ to ḳhvāb chalte haiñ
bujhtī āñkhoñ meñ tāzgī Thahre
tere chehre pe ḳhvāb se manzar
terī palkoñ pe rāgnī Thahre
kitnī pur-nūr haiñ tirī āñkheñ
jaise rātoñ meñ chāñdnī Thahre
har-sū jalte haiñ shaam se jugnū
tū jo yādoñ meñ jaañ mirī Thahre
dil ke sahrā meñ hijr kā mausam
raat jaise ki bebasī Thahre
tujh meñ 'ābid' ye kaun rahtā hai
jis ke rahne se khusravī Thahre
in charaghon mein raushni Thahre
tu jo aae to zindagi Thahre
tujh ko dekhen to KHwab chalte hain
bujhti aankhon mein tazgi Thahre
tere chehre pe KHwab se manzar
teri palkon pe ragni Thahre
kitni pur-nur hain teri aankhen
jaise raaton mein chandni Thahre
har-su jalte hain sham se jugnu
tu jo yaadon mein jaan meri Thahre
dil ke sahra mein hijr ka mausam
raat jaise ki bebasi Thahre
tujh mein 'abid' ye kaun rahta hai
jis ke rahne se khusrawi Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.