Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in dinon bhi jabki wo taswir ke paikar mein tha

Mahmood Kazim

in dinon bhi jabki wo taswir ke paikar mein tha

Mahmood Kazim

MORE BYMahmood Kazim

    in dinoñ bhī jabki vo tasvīr ke paikar meñ thā

    maiñ ka.ī shakloñ meñ har manzar ke pas-manzar meñ thā

    thā ġhubār-ālūd vo tab bhī na pahchānā use

    ab ke jab dekhā to vo malbūs sīm-o-zar meñ thā

    ye khañDar jo dekhte ho thā kabhī ik āsmāñ

    itnā ūñchā thā ki saaya bhī na bām-o-dar meñ thā

    qatl ilzām us ne kah ke ye rad kar diyā

    vaqt vo daftar thā maiñ us ghaḌī daftar meñ thā

    thī vo shohrat havas ishtihāroñ fareb

    lāpata chhaptā thā jab aḳhbār meñ vo ghar meñ thā

    kyā batā.ūñ dosto ik hashr-sāmāñ thā saath

    der itnī yuuñ huī maiñ 'arsa-e-mahshar meñ thā

    ik darāmā.ī asar laatā thā vo stage par

    go shumār us shā.ir-e-pur-fan bāzīgar meñ thā

    in dinon bhi jabki wo taswir ke paikar mein tha

    main kai shaklon mein har manzar ke pas-manzar mein tha

    tha ghubar-alud wo tab bhi na pahchana use

    ab ke jab dekha to wo malbus sim-o-zar mein tha

    ye khanDar jo dekhte ho tha kabhi ek aasman

    itna uncha tha ki saya bhi na baam-o-dar mein tha

    qatl ka ilzam us ne kah ke ye rad kar diya

    waqt wo daftar ka tha main us ghaDi daftar mein tha

    thi wo shohrat ki hawas ya ishtihaaron ka fareb

    lapata chhapta tha jab aKHbar mein wo ghar mein tha

    kya bataun dosto ek hashr-saman ka tha sath

    der itni yun hui main 'arsa-e-mahshar mein tha

    ek daramai asar lata tha wo stage par

    go shumar us shair-e-pur-fan ka bazigar mein tha

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now