in dinon KHud se faraghat hi faraghat hai mujhe
in dinoñ ḳhud se farāġhat hī farāġhat hai mujhe
ishq bhī jaise koī zehnī suhulat hai mujhe
maiñ ne tujh par tire hijrāñ ko muqaddam jaanā
terī jānib se kisī rañj kī hasrat hai mujhe
ḳhud ko samjhā.ūñ ki duniyā kī ḳhabar-gīrī karūñ
is mohabbat meñ koī ek musībat hai mujhe
dil nahīñ rakhtā kisī aur tamannā kī havas
aisā ho paa.e to kyā is meñ qabāhat hai mujhe
ek be-nām udāsī se bharā baiThā huuñ
aaj jī khol ke ro lene kī hājat hai mujhe
in dinon KHud se faraghat hi faraghat hai mujhe
ishq bhi jaise koi zehni suhulat hai mujhe
main ne tujh par tere hijran ko muqaddam jaana
teri jaanib se kisi ranj ki hasrat hai mujhe
KHud ko samjhaun ki duniya ki KHabar-giri karun
is mohabbat mein koi ek musibat hai mujhe
dil nahin rakhta kisi aur tamanna ki hawas
aisa ho pae to kya is mein qabahat hai mujhe
ek be-nam udasi se bhara baiTha hun
aaj ji khol ke ro lene ki hajat hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.