in garm aansuon ki rawani mein sath de
in garm āñsuoñ kī ravānī meñ saath de
ai shaam un kī yād-dahānī meñ saath de
banvās kaaT leñge magar ek shart hai
shabrī hamārī raam kahānī meñ saath de
piirī meñ bhī to ḳhvāhisheñ ho saktī haiñ javāñ
vo dil hī kyā jo sirf javānī meñ saath de
sahrā se aa.e qais ye farhād koh se
koī to ho jo ashk-fishānī meñ saath de
nādāniyoñ se misra’-e-avval bigaḌ gayā
allāh merā misra’-e-sānī meñ saath de
in garm aansuon ki rawani mein sath de
ai sham un ki yaad-dahani mein sath de
banwas kaT lenge magar ek shart hai
shabri hamari ram kahani mein sath de
piri mein bhi to KHwahishen ho sakti hain jawan
wo dil hi kya jo sirf jawani mein sath de
sahra se aae qais ye farhad koh se
koi to ho jo ashk-fishani mein sath de
nadaniyon se misra’-e-awwal bigaD gaya
allah mera misra’-e-sani mein sath de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.