inko nafrat ise kya kahte hain
in ko nafrat ise kyā kahte haiñ
ham ko raġhbat ise kyā kahte haiñ
naqd-e-dil le ke hamārā na diyā
ḳhud badaulat ise kyā kahte haiñ
roz-e-furqat bhī to hai tuul bahut
ai qayāmat ise kyā kahte haiñ
har parī-rū pe tujhe aa jaanā
ai tabī.at ise kyā kahte haiñ
ġhair ko bazm meñ biThlā lenā
ham ko ruḳhsat ise kyā kahte haiñ
ek to ishq kā sadma mujh ko
us pe furqat ise kyā kahte haiñ
naqd-e-dil ishq meñ dete haiñ 'saḳhī'
ai saḳhāvat ise kyā kahte haiñ
in ko nafrat ise kya kahte hain
hum ko raghbat ise kya kahte hain
naqd-e-dil le ke hamara na diya
KHud badaulat ise kya kahte hain
roz-e-furqat bhi to hai tul bahut
ai qayamat ise kya kahte hain
har pari-ru pe tujhe aa jaana
ai tabiat ise kya kahte hain
ghair ko bazm mein biThla lena
hum ko ruKHsat ise kya kahte hain
ek to ishq ka sadma mujh ko
us pe furqat ise kya kahte hain
naqd-e-dil ishq mein dete hain 'saKHi'
ai saKHawat ise kya kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.