in mein poshida hain hikmat ke KHazane kya kya
in meñ poshīda haiñ hikmat ke ḳhazāne kyā kyā
kah ga.e baat pate kī haiñ siyāne kyā kyā
muñh ke bal aa gire vo jin kā havā par thā dimāġh
vaqt ne taak ke sādhe haiñ nishāne kyā kyā
ghar pahuñchne meñ zarā der huī bachchoñ ko
ham ne bhī soch liyā itne meñ jaane kyā kyā
kabhī afsāne ko pahnāte haiñ sach kā jaama
kabhī sachchā.ī ke bante haiñ fasāne kyā kyā
na mile aib to turpā.ī udheḌo saarī
nukta-chīnī ko 'tabassum' haiñ bahāne kyā kyā
in mein poshida hain hikmat ke KHazane kya kya
kah gae baat pate ki hain siyane kya kya
munh ke bal aa gire wo jin ka hawa par tha dimagh
waqt ne tak ke sadhe hain nishane kya kya
ghar pahunchne mein zara der hui bachchon ko
hum ne bhi soch liya itne mein jaane kya kya
kabhi afsane ko pahnate hain sach ka jama
kabhi sachchai ke bante hain fasane kya kya
na mile aib to turpai udheDo sari
nukta-chini ko 'tabassum' hain bahane kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.