Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in shoKH hasinon ki ada aur hi kuchh hai

Abul Kalam Azad

in shoKH hasinon ki ada aur hi kuchh hai

Abul Kalam Azad

MORE BYAbul Kalam Azad

    in shoḳh hasīnoñ adā aur kuchh hai

    aur in adāoñ meñ mazā aur kuchh hai

    ye dil hai magar dil meñ basā aur kuchh hai

    dil ā.īna hai jalva-numā aur kuchh hai

    ham aap mahfil meñ na aane ko na aate

    kuchh aur samjhe the huā aur kuchh hai

    be-ḳhud bhī haiñ hoshiyār bhī haiñ dekhne vaale

    in mast nigāhoñ adā aur kuchh hai

    'āzād' huuñ aur gesu-e-pechāñ meñ giraftār

    kah do mujhe kyā tum ne sunā aur kuchh hai

    in shoKH hasinon ki ada aur hi kuchh hai

    aur in ki adaon mein maza aur hi kuchh hai

    ye dil hai magar dil mein basa aur hi kuchh hai

    dil aaina hai jalwa-numa aur hi kuchh hai

    hum aap ki mahfil mein na aane ko na aate

    kuchh aur hi samjhe the hua aur hi kuchh hai

    be-KHud bhi hain hoshiyar bhi hain dekhne wale

    in mast nigahon ki ada aur hi kuchh hai

    'azad' hun aur gesu-e-pechan mein giraftar

    kah do mujhe kya tum ne suna aur hi kuchh hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    in shoKH hasinon ki ada aur hi kuchh hai Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : muntakhab sho'raa (Pg. pdf)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now