in wafaon ka faisla kar de
in vafāoñ kā faisla kar de
bad-duā.eñ bhī muskurā kar de
abr se sirf itnā kahnā hai
saarā jangal harā-bharā kar de
ishq meñ fā.eda hai yā nuqsān
mashvara mujh ko aazmā kar de
terā qad kahkashāñ se uupar hai
chāñd ākāsh se uThā kar de
ruuh tak bhī rasā.ī hogī mirī
pahle dil tak to rāsta kar de
koī misre meñ aa simaT ke kabhī
sher kā canvas baḌā kar de
vo mujhe dekhe to mirā ho jaa.e
aisī sūrat mire ḳhudā kar de
in wafaon ka faisla kar de
bad-duaen bhi muskura kar de
abr se sirf itna kahna hai
sara jangal hara-bhara kar de
ishq mein faeda hai ya nuqsan
mashwara mujh ko aazma kar de
tera qad kahkashan se upar hai
chand aakash se uTha kar de
ruh tak bhi rasai hogi meri
pahle dil tak to rasta kar de
koi misre mein aa simaT ke kabhi
sher ka canwas baDa kar de
wo mujhe dekhe to mera ho jae
aisi surat mere KHuda kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.