inayat hai teri bas ek ehsan aur itna kar
ināyat hai tirī bas ek ehsān aur itnā kar
mire is dard kī mī.ād meñ bhī kuchh izāfa kar
gumāñ se bhī ziyāda chāhiye sarsabz kisht-e-jāñ
faqat pichhle pahar kyā har pahar ai aañkh barsā kar
to phir ikrām kyā shai hai jo tanhā.ī meñ tanhā huuñ
koī mahfil atā kar qā.ede kī us meñ tanhā kar
nafas kī āmad-o-shud ruk na jaa.e peshtar is se
zamīñ ko aur nīchā āsmāñ ko aur ūñchā kar
bahut mumkin hai merī bāteñ be-ma.anī lageñ tujh ko
inheñ majzūb kī baḌ jaan aur chup-chāp sochā kar
inayat hai teri bas ek ehsan aur itna kar
mere is dard ki miad mein bhi kuchh izafa kar
guman se bhi ziyaada chahiye sarsabz kisht-e-jaan
faqat pichhle pahar kya har pahar ai aankh barsa kar
to phir ikram kya shai hai jo tanhai mein tanha hun
koi mahfil ata kar qaede ki us mein tanha kar
nafas ki aamad-o-shud ruk na jae peshtar is se
zamin ko aur nicha aasman ko aur uncha kar
bahut mumkin hai meri baaten be-mani lagen tujh ko
inhen majzub ki baD jaan aur chup-chap socha kar
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 40)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.