inayat kam mohabbat kam wafa kam
ināyat kam mohabbat kam vafā kam
milā sab kuchh hameñ lekin milā kam
baḌī rañgīn behad ḳhushnumā thī
tirī duniyā meñ lekin jī lagā kam
tum apne ġham kī talḳhī bhī milā do
sharāb-e-zindagī meñ hai nasha kam
chalo yuuñ hī sahī ham bevafā haiñ
magar ai bevafā tujh se zarā kam
'hasan' duniyā meñ ham ne yuuñ basar kī
adāvat kam shikāyat kam gila kam
inayat kam mohabbat kam wafa kam
mila sab kuchh hamein lekin mila kam
baDi rangin behad KHushnuma thi
teri duniya mein lekin ji laga kam
tum apne gham ki talKHi bhi mila do
sharab-e-zindagi mein hai nasha kam
chalo yun hi sahi hum bewafa hain
magar ai bewafa tujh se zara kam
'hasan' duniya mein hum ne yun basar ki
adawat kam shikayat kam gila kam
- Book : Haasil Yahee (Pg. 49)
- Author : Hasan Kamal
- Publication : Maktaba Jamia LTD (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.