inayat mujh pe farmate hain shaiKH-o-barhaman donon
inayat mujh pe farmate hain shaiKH-o-barhaman donon
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
'ināyat mujh pe farmāte haiñ shaiḳh-o-barhaman donoñ
muāfiq apne apne paate haiñ merā chalan donoñ
tarāne mere ham-āhang dair-o-kā'ba meñ yaksāñ
zabāñ par merī mauzūñ hotī hai hamd aur bhajan donoñ
mujhe ulfat hai sunnī se bhī shī'a se bhī yaarī hai
akhāḌe meñ dikhā sakte haiñ dilkash bāñkpan donoñ
mujhe hotel bhī ḳhush aatā hai aur Thākur duvārā bhī
tabarruk hai mire nazdīk parshād aur mutton donoñ
'inayat mujh pe farmate hain shaiKH-o-barhaman donon
muafiq apne apne pate hain mera chalan donon
tarane mere ham-ahang dair-o-ka'ba mein yaksan
zaban par meri mauzun hoti hai hamd aur bhajan donon
mujhe ulfat hai sunni se bhi shi'a se bhi yari hai
akhaDe mein dikha sakte hain dilkash bankpan donon
mujhe hotel bhi KHush aata hai aur Thakur duwara bhi
tabarruk hai mere nazdik parshad aur mutton donon
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 99)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.