inhi galiyon mein ek aisi gali hai
inhī galiyoñ meñ ik aisī galī hai
jo mere naam se tanhā rahī hai
ab is se aur bhī sham.eñ jalā lo
savād-e-jāñ meñ ik mash.al jalī hai
hamāre sar ga.e sañg-e-harīfāñ
mai-o-mīnā se aafat Tal ga.ī hai
maiñ bahr-e-āzmā.ish bhī jalā huuñ
ki dekhūñ mujh meñ kitnī raushnī hai
ilāhī ḳhair ho in bastiyoñ kī
pas-e-dīvār ik parchhā.īñ sī hai
savād-e-shahr meñ koī balā hai
jo vahshat bin ke pīchhā kar rahī hai
huī phir shaam phir din bhar kī shorish
galī-kūchoñ meñ chhap kar so ga.ī hai
kuchh aise so rahe haiñ shahr vaale
ki ik muddat meñ niiñd un ko milī hai
ye ghar sote ke sote hī na rah jaa.eñ
havā-e-hashr-sāmāñ chal rahī hai
huī phir sub.h zaḳhmoñ ke ufuq se
fazā phir taaza dam ho kar uThī hai
kisī qaidī ko phir ḳhvāboñ se uTh kar
kisī zanjīr ne āvāz dī hai
gharoñ se chand lamhoñ kī rifāqat
bichhaḌ kar shahr kī jānib chalī hai
lahū ristā hai dast-e-shīsha-gar se
fazā ā.īna-ḳhāna ban ga.ī hai
phir apne dā.ere qauseñ banā.e
vahī miTTī vahī kūza-garī hai
tum is se kyā bachoge 'shauq'-sāhab
ki qismat meñ yahī gardish likhī hai
inhi galiyon mein ek aisi gali hai
jo mere nam se tanha rahi hai
ab is se aur bhi shamen jala lo
sawad-e-jaan mein ek mashal jali hai
hamare sar gae sang-e-harifan
mai-o-mina se aafat Tal gai hai
main bahr-e-azmaish bhi jala hun
ki dekhun mujh mein kitni raushni hai
ilahi KHair ho in bastiyon ki
pas-e-diwar ek parchhain si hai
sawad-e-shahr mein koi bala hai
jo wahshat bin ke pichha kar rahi hai
hui phir sham phir din bhar ki shorish
gali-kuchon mein chhap kar so gai hai
kuchh aise so rahe hain shahr wale
ki ek muddat mein nind un ko mili hai
ye ghar sote ke sote hi na rah jaen
hawa-e-hashr-saman chal rahi hai
hui phir subh zaKHmon ke ufuq se
faza phir taza dam ho kar uThi hai
kisi qaidi ko phir KHwabon se uTh kar
kisi zanjir ne aawaz di hai
gharon se chand lamhon ki rifaqat
bichhaD kar shahr ki jaanib chali hai
lahu rista hai dast-e-shisha-gar se
faza aaina-KHana ban gai hai
phir apne daere qausen banae
wahi miTTi wahi kuza-gari hai
tum is se kya bachoge 'shauq'-sahab
ki qismat mein yahi gardish likhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.