injil-e-raftagan ki hadison ke sath hun
injīl-e-raftagāñ kī hadīsoñ ke saath huuñ
īsā-nafas huuñ aur salīboñ ke saath huuñ
pāband-e-rañg-o-naqsh huuñ tasvīr kī tarah
maiñ be-hijāb apne hijāboñ ke saath huuñ
aurāq-e-ārzū pe ba-unvān-e-jāñ-kanī
maiñ be-nishāñ sī chand lakīroñ ke saath huuñ
shāyad ye intizār kī lau faisla kare
maiñ apne saath huuñ ki darīchoñ ke saath huuñ
tū fat.h-mand merā tarāshā huā sanam
maiñ but-tarāsh apnī shikastoñ ke saath huuñ
mauj-e-sabā kī zad pe sar-e-rahguzār-e-shauq
maiñ bhī 'nasīr' ghar ke charāġhoñ ke saath huuñ
injil-e-raftagan ki hadison ke sath hun
isa-nafas hun aur salibon ke sath hun
paband-e-rang-o-naqsh hun taswir ki tarah
main be-hijab apne hijabon ke sath hun
auraq-e-arzu pe ba-unwan-e-jaan-kani
main be-nishan si chand lakiron ke sath hun
shayad ye intizar ki lau faisla kare
main apne sath hun ki darichon ke sath hun
tu fath-mand mera tarasha hua sanam
main but-tarash apni shikaston ke sath hun
mauj-e-saba ki zad pe sar-e-rahguzar-e-shauq
main bhi 'nasir' ghar ke charaghon ke sath hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.