inkar bane ya koi iqrar tamasha
inkār bane yā koī iqrār tamāsha
maiñ dekhtā rahtā huuñ lagātār tamāsha
maiñ ḳhud se jhagaḌne meñ huuñ masrūf mire dost
aur dekh rahe haiñ dar-o-dīvār tamāsha
hamdardiyāñ lāzim haiñ mire saath ki ab maiñ
bantā huuñ mohabbat meñ ka.ī baar tamāsha
har aadmī aatā nahīñ rusvā.ī kī zad meñ
bāzār meñ bantā hai ḳharīdār tamāsha
dukh ye hai ki milne ko maiñ bechain bahut huuñ
aur dekh rahe haiñ mirī sarkār tamāsha
ham dekhte rahte haiñ darāmā.ī mohabbat
karte haiñ yahāñ roz adākār tamāsha
hālāt badal sakte haiñ 'mannān' kisī vaqt
ban jā.eñge ab sāhab-e-dastār tamāsha
inkar bane ya koi iqrar tamasha
main dekhta rahta hun lagatar tamasha
main KHud se jhagaDne mein hun masruf mere dost
aur dekh rahe hain dar-o-diwar tamasha
hamdardiyan lazim hain mere sath ki ab main
banta hun mohabbat mein kai bar tamasha
har aadmi aata nahin ruswai ki zad mein
bazar mein banta hai KHaridar tamasha
dukh ye hai ki milne ko main bechain bahut hun
aur dekh rahe hain meri sarkar tamasha
hum dekhte rahte hain daramai mohabbat
karte hain yahan roz adakar tamasha
haalat badal sakte hain 'mannan' kisi waqt
ban jaenge ab sahab-e-dastar tamasha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.