inkar ki lazzat se na iqrar-e-junun se
inkār kī lazzat se na iqrār-e-junūñ se
ye hijr khulā mujh pe kisī aur fusūñ se
ye jaan chalī jaa.e magar aañch na aa.e
ādāb-e-mohabbat pe kisī harf-e-junūñ se
ujlat meñ nahīñ hogī tilāvat tire ruḳh kī
aa baiTh mire paas zarā der sukūñ se
ai yaar koī bol mohabbat se bharā bol
kyā samjhūñ bhalā maiñ tirī haañ se tirī huuñ se
dīvār kā saaya to mujhe mil nahīñ paayā
baiThā huuñ tirī yaad meñ ab lag ke sutūñ se
tujh se to mirī ruuh kā bandhan thā mire yaar
anjān rahā tū bhī mire hāl-e-darūñ se
inkar ki lazzat se na iqrar-e-junun se
ye hijr khula mujh pe kisi aur fusun se
ye jaan chali jae magar aanch na aae
aadab-e-mohabbat pe kisi harf-e-junun se
ujlat mein nahin hogi tilawat tere ruKH ki
aa baiTh mere pas zara der sukun se
ai yar koi bol mohabbat se bhara bol
kya samjhun bhala main teri han se teri hun se
diwar ka saya to mujhe mil nahin paya
baiTha hun teri yaad mein ab lag ke sutun se
tujh se to meri ruh ka bandhan tha mere yar
anjaan raha tu bhi mere haal-e-darun se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.