inkar kise, auj-e-qamar tak nahin pahuncha
inkār kise, auj-e-qamar tak nahīñ pahuñchā
insān magar dil ke nagar tak nahīñ pahuñchā
uTThā to har ik jhuktī huī shāḳh kī jānib
haath apnā kisī shāḳh-e-samar tak nahīñ pahuñchā
tūfān kī zad par hai agar shahr use kyā
vo ḳhush hai ki paanī abhī ghar tak nahīñ pahuñchā
har raah liye jaatī hai ik band galī tak
rasta koī us shoḳh ke dar tak nahīñ pahuñchā
dam bhartā rahā apnī vafāoñ kā jo 'muḳhlis'
vo shaḳhs to lene ko ḳhabar tak nahīñ pahuñchā
inkar kise, auj-e-qamar tak nahin pahuncha
insan magar dil ke nagar tak nahin pahuncha
uTTha to har ek jhukti hui shaKH ki jaanib
hath apna kisi shaKH-e-samar tak nahin pahuncha
tufan ki zad par hai agar shahr use kya
wo KHush hai ki pani abhi ghar tak nahin pahuncha
har rah liye jati hai ek band gali tak
rasta koi us shoKH ke dar tak nahin pahuncha
dam bharta raha apni wafaon ka jo 'muKHlis'
wo shaKHs to lene ko KHabar tak nahin pahuncha
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 405)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.