insan-e-hawas-pesha se kya ho nahin sakta
insān-e-havas-pesha se kyā ho nahīñ saktā
majbūr hai is se ki ḳhudā ho nahīñ saktā
vo uqda mire kaam meñ taqdīr ne Daalā
jo nāḳhun-e-tadbīr se vā ho nahīñ saktā
dahshat se koī naam bhī letā nahīñ varna
is bazm meñ kyā zikr mirā ho nahīñ saktā
kyuuñ kar ho harīs-e-sitam-e-ishq kī serī
ġham rizq-e-muqaddar hai sivā ho nahīñ saktā
dil kyuuñ ki ḳhadañg-e-nigah-e-yār se bach jaa.e
ye tiir qazā kā hai ḳhatā ho nahīñ saktā
tamkīñ se na dekhe jo kabhī aa.ina jhuk kar
vo murtakib-e-sharm-o-hayā ho nahīñ saktā
mātam-zada ke haath se ghabrā na shab-e-vasl
aadat hai ki siine se judā ho nahīñ saktā
kahne pe chale dil ke abas ye bhī na jaanā
gumrāh kabhī rāh-numā ho nahīñ saktā
hai chaal tirī bā.is-e-āsūdgī-e-halq
ḳhajlat ke sabab hashr bapā ho nahīñ saktā
ye dard hai terā hī ki hai jaan se shīrīñ
har dard meñ zālim ye mazā ho nahīñ saktā
ai tā.ir-e-jāñ shikva-e-taklīf-e-qafas kyuuñ
kyā tū qafas-e-tan se rihā ho nahīñ saktā
ġhairat hai jo mujh meñ to vo kahte haiñ sar-e-bazm
parvāne se jo kaam huā ho nahīñ saktā
vo ġham-zada bante haiñ mirī na.ash pe lekin
dil-ḳhush hai ki lab nauha-sarā ho nahīñ saktā
ham zamzama-sanj-e-arnī ban nahīñ sakte
tū baam pe kyā jalva-numā ho nahīñ saktā
maiñ is qadar achchhā to nahīñ huuñ ki bahar aa.uuñ
mansūr ne da.avā jo kiyā ho nahīñ saktā
maiñ us nigah-e-nāz kā mahkūm huuñ 'sālik'
vābasta-e-ahkām-e-qazā ho nahīñ saktā
insan-e-hawas-pesha se kya ho nahin sakta
majbur hai is se ki KHuda ho nahin sakta
wo uqda mere kaam mein taqdir ne Dala
jo naKHun-e-tadbir se wa ho nahin sakta
dahshat se koi nam bhi leta nahin warna
is bazm mein kya zikr mera ho nahin sakta
kyun kar ho haris-e-sitam-e-ishq ki seri
gham rizq-e-muqaddar hai siwa ho nahin sakta
dil kyun ki KHadang-e-nigah-e-yar se bach jae
ye tir qaza ka hai KHata ho nahin sakta
tamkin se na dekhe jo kabhi aaina jhuk kar
wo murtakib-e-sharm-o-haya ho nahin sakta
matam-zada ke hath se ghabra na shab-e-wasl
aadat hai ki sine se juda ho nahin sakta
kahne pe chale dil ke abas ye bhi na jaana
gumrah kabhi rah-numa ho nahin sakta
hai chaal teri bais-e-asudgi-e-halq
KHajlat ke sabab hashr bapa ho nahin sakta
ye dard hai tera hi ki hai jaan se shirin
har dard mein zalim ye maza ho nahin sakta
ai tair-e-jaan shikwa-e-taklif-e-qafas kyun
kya tu qafas-e-tan se riha ho nahin sakta
ghairat hai jo mujh mein to wo kahte hain sar-e-bazm
parwane se jo kaam hua ho nahin sakta
wo gham-zada bante hain meri nash pe lekin
dil-KHush hai ki lab nauha-sara ho nahin sakta
hum zamzama-sanj-e-arni ban nahin sakte
tu baam pe kya jalwa-numa ho nahin sakta
main is qadar achchha to nahin hun ki bahar aaun
mansur ne dawa jo kiya ho nahin sakta
main us nigah-e-naz ka mahkum hun 'salik'
wabasta-e-ahkaam-e-qaza ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.