Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi

Nida Fazli

insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    Interesting Fact

    This ghazal is written on similar kinds of social issues prevailing both in India and Pakistan.

    insān meñ haivān yahāñ bhī hai vahāñ bhī

    allāh nigahbān yahāñ bhī hai vahāñ bhī

    ḳhūñ-ḳhvār darindoñ ke faqat naam alag haiñ

    har shahr bayābān yahāñ bhī hai vahāñ bhī

    hindū bhī sukūñ se hai musalmāñ bhī sukūñ se

    insān pareshān yahāñ bhī hai vahāñ bhī

    rahmān rahmat ho ki bhagvān mūrat

    har khel maidān yahāñ bhī hai vahāñ bhī

    uThtā hai dil-o-jāñ se dhuāñ donoñ taraf

    ye 'mīr' dīvān yahāñ bhī hai vahāñ bhī

    insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi

    allah nigahban yahan bhi hai wahan bhi

    KHun-KHwar darindon ke faqat nam alag hain

    har shahr bayaban yahan bhi hai wahan bhi

    hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se

    insan pareshan yahan bhi hai wahan bhi

    rahman ki rahmat ho ki bhagwan ki murat

    har khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi

    uThta hai dil-o-jaan se dhuan donon taraf hi

    ye 'mir' ka diwan yahan bhi hai wahan bhi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Sheher Men Gaon (Pg. 380)
    • Author : Nida Fazli
    • Publication : Miaar Publications (2012)
    • Edition : 2012

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now