insan jab se zar ka parastar ho gaya
insān jab se zar kā parastār ho gayā
duniyā meñ garm qatl kā bāzār ho gayā
kaise kahūñ ki a.alā hai us kā hasab-nasab
kam-asl ko jo ā.ina-bardār ho gayā
phailā rahā hai haath re.āyā ke sāmne
majbūr kaisā vaqt kā muḳhtār ho gayā
sohbat kisī faqīr kī milne kī der thī
gumrāh shaḳhs sāhib-e-kirdār ho gayā
qātil ko mil bhī jaa.e sazā maut kī to kyā
vīrān to ġharīb kā ghar-bār ho gayā
baTvārā ghar kā hote hī qismat bhī baT ga.ī
koī ġharīb aur koī zardār ho gayā
jab shā.irī kī shiin se vāqif talak nahīñ
'muḳhlis' kā phir bhī turra ki fankār ho gayā
insan jab se zar ka parastar ho gaya
duniya mein garm qatl ka bazar ho gaya
kaise kahun ki aala hai us ka hasab-nasab
kam-asl ko jo aaina-bardar ho gaya
phaila raha hai hath reaya ke samne
majbur kaisa waqt ka muKHtar ho gaya
sohbat kisi faqir ki milne ki der thi
gumrah shaKHs sahib-e-kirdar ho gaya
qatil ko mil bhi jae saza maut ki to kya
viran to gharib ka ghar-bar ho gaya
baTwara ghar ka hote hi qismat bhi baT gai
koi gharib aur koi zardar ho gaya
jab shairi ki shin se waqif talak nahin
'muKHlis' ka phir bhi turra ki fankar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.