insan jo hain inko kabhi kamtar nahin dekha
insāñ jo haiñ in ko kabhī kamtar nahīñ dekhā
ḳhud raah kā ḳham hote hue sar nahīñ dekhā
tum bahr-e-mohabbat ke kināre pe khaḌe the
tum ne mirī āñkhoñ meñ samundar nahīñ dekhā
yuuñ biit ga.ī shahr-e-ġharībāñ meñ mirī umr
ḳhush-hāl yahāñ maiñ ne koī ghar nahīñ dekhā
dil ḳhaak huā pyaar kī is aag meñ jal kar
aur jhāñk ke us ne kabhī andar nahīñ dekhā
āvāz pe āvāz vo detā rahā 'nayyar'
ham ne use ik baar bhī muḌ kar nahīñ dekhā
insan jo hain in ko kabhi kamtar nahin dekha
KHud rah ka KHam hote hue sar nahin dekha
tum bahr-e-mohabbat ke kinare pe khaDe the
tum ne meri aankhon mein samundar nahin dekha
yun bit gai shahr-e-ghariban mein meri umr
KHush-haal yahan main ne koi ghar nahin dekha
dil KHak hua pyar ki is aag mein jal kar
aur jhank ke us ne kabhi andar nahin dekha
aawaz pe aawaz wo deta raha 'nayyar'
hum ne use ek bar bhi muD kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.