insan ko insan se kuchh kaam nahin hota
insān ko insāñ se kuchh kaam nahīñ hotā
duniyā meñ mohabbat kā jab naam nahīñ hotā
ye kaisī haqīqat hai ai dost mohabbat meñ
āġhāz to hotā hai anjām nahīñ hotā
tum se to na kuchh hogā ai chāragaro jaao
bīmār-e-mohabbat ko ārām nahīñ hotā
ye manzil-e-āḳhir hai aa jaao ayādat ko
aa jaane se aise meñ ilzām nahīñ hotā
lāzim hai samajh lenā nazroñ kī zabāñ sāhib
lafzoñ se mohabbat meñ kuchh kaam nahīñ hotā
baḌhte hue dhāre hoñ barpā ho 'qamar' tūfāñ
himmat se jo baḌh jaa.e nākām nahīñ hotā
insan ko insan se kuchh kaam nahin hota
duniya mein mohabbat ka jab nam nahin hota
ye kaisi haqiqat hai ai dost mohabbat mein
aaghaz to hota hai anjam nahin hota
tum se to na kuchh hoga ai chaaragaro jao
bimar-e-mohabbat ko aaram nahin hota
ye manzil-e-aKHir hai aa jao ayaadat ko
aa jaane se aise mein ilzam nahin hota
lazim hai samajh lena nazron ki zaban sahib
lafzon se mohabbat mein kuchh kaam nahin hota
baDhte hue dhaare hon barpa ho 'qamar' tufan
himmat se jo baDh jae nakaam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.