insan koi bhi to farishta bana nahin
insān koī bhī to farishta banā nahīñ
sach pūchhiye to koī yahāñ be-ḳhatā nahīñ
vo jis ko apne dil kā fasāna sunā sakeñ
ham ko to koī shaḳhs abhī tak milā nahīñ
chehra badal badal ke vo aayā hai bār-bār
vo ho kisī bhī chehre meñ mujh se chhupā nahīñ
kashtī ko tū ne chhoḌ diyā yuuñ hī nāḳhudā
kyā tū samajh rahā hai hamārā ḳhudā nahīñ
qaa.em rahe jo tauba pe saaqī ke rū-ba-rū
aisā to mai-kade meñ koī pārsā nahīñ
ham haiñ qusūr-vār hameñ e'tirāf hai
tohmat lagāne vaale bhī to devtā nahīñ
vo bevafā thā chhoḌ ke mujh ko chalā gayā
maiñ bhuul jā.ūñ us ko magar bhūltā nahīñ
us ke qarīb jā.ūñ to miltā nahīñ hai vo
aur duur ho bhī jā.ūñ to mujh se judā nahīñ
'zebī' rafīq hote haiñ sab achchhe daur ke
jab vaqt ho kaḌā koī pahchāntā nahīñ
insan koi bhi to farishta bana nahin
sach puchhiye to koi yahan be-KHata nahin
wo jis ko apne dil ka fasana suna saken
hum ko to koi shaKHs abhi tak mila nahin
chehra badal badal ke wo aaya hai bar-bar
wo ho kisi bhi chehre mein mujh se chhupa nahin
kashti ko tu ne chhoD diya yun hi naKHuda
kya tu samajh raha hai hamara KHuda nahin
qaem rahe jo tauba pe saqi ke ru-ba-ru
aisa to mai-kade mein koi parsa nahin
hum hain qusur-war hamein e'tiraf hai
tohmat lagane wale bhi to dewta nahin
wo bewafa tha chhoD ke mujh ko chala gaya
main bhul jaun us ko magar bhulta nahin
us ke qarib jaun to milta nahin hai wo
aur dur ho bhi jaun to mujh se juda nahin
'zebi' rafiq hote hain sab achchhe daur ke
jab waqt ho kaDa koi pahchanta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.