insan se insan ko nafrat nahin achchhi
insān se insān ko nafrat nahīñ achchhī
ehsān jatāne kī bhī aadat nahīñ achchhī
bhaa.ī kī burā.ī jo kiyā kartā hai har dam
har aise munāfiq kī mohabbat nahīñ achchhī
zillat ke sivā aur na kuchh us ko milegā
makkār-o-gunahgār kī sohbat nahīñ achchhī
kartā hai amānat meñ ḳhayānat jo sarāsar
har aise bashar se koī nisbat nahīñ achchhī
aa.e na kabhī kaam ġharīboñ ke to ai dost
ambār ho daulat kā vo daulat nahīñ achchhī
gulshan ke sañvarne meñ lahū ham ne diyā hai
haqdār-e-gulistāñ se baġhāvat nahīñ achchhī
insāf ġharīboñ ko jo munsif na dilā.e
ho aisī jahāñ par vo adālat nahīñ achchhī
'yāsīn' jo fitrat hai badaltī nahīñ lekin
hai vaqt badal jo tirī aadat nahīñ achchhī
insan se insan ko nafrat nahin achchhi
ehsan jatane ki bhi aadat nahin achchhi
bhai ki burai jo kiya karta hai har dam
har aise munafiq ki mohabbat nahin achchhi
zillat ke siwa aur na kuchh us ko milega
makkar-o-gunahgar ki sohbat nahin achchhi
karta hai amanat mein KHayanat jo sarasar
har aise bashar se koi nisbat nahin achchhi
aae na kabhi kaam gharibon ke to ai dost
ambar ho daulat ka wo daulat nahin achchhi
gulshan ke sanwarne mein lahu hum ne diya hai
haqdar-e-gulistan se baghawat nahin achchhi
insaf gharibon ko jo munsif na dilae
ho aisi jahan par wo adalat nahin achchhi
'yasin' jo fitrat hai badalti nahin lekin
hai waqt badal jo teri aadat nahin achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.