Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahzan aadmi rahnuma aadmi

Saghar Siddiqui

rahzan aadmi rahnuma aadmi

Saghar Siddiqui

MORE BYSaghar Siddiqui

    rāhzan aadmī rahnumā aadmī

    bār-hā ban chukā hai ḳhudā aadmī

    haa.e taḳhlīq kār-pardāziyāñ

    ḳhaak chiiz ko kah diyā aadmī

    khul ga.e jannatoñ ke vahāñ zā.iche

    do qadam jhuum kar jab chalā aadmī

    zindagī ḳhānqāh-e-shahūd-o-baqā

    aur lauh-e-mazār-e-fanā aadmī

    sub.h-dam chāñd ruḳhsatī samāñ

    jis tarah bahr meñ Dūbtā aadmī

    kuchh farishtoñ taqdīs ke vāste

    sah gayā aadmī jafā aadmī

    gūñjtī rahegī falak-dar-falak

    hai mashiyyat aisī sadā aadmī

    aas mūrateñ pūjte pūjte

    ek tasvīr ban gayā aadmī

    rahzan aadmi rahnuma aadmi

    bar-ha ban chuka hai KHuda aadmi

    hae taKHliq ki kar-pardaziyan

    KHak si chiz ko kah diya aadmi

    khul gae jannaton ke wahan zaiche

    do qadam jhum kar jab chala aadmi

    zindagi KHanqah-e-shahud-o-baqa

    aur lauh-e-mazar-e-fana aadmi

    subh-dam chand ki ruKHsati ka saman

    jis tarah bahr mein Dubta aadmi

    kuchh farishton ki taqdis ke waste

    sah gaya aadmi ki jafa aadmi

    gunjti hi rahegi falak-dar-falak

    hai mashiyyat ki aisi sada aadmi

    aas ki muraten pujte pujte

    ek taswir si ban gaya aadmi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    rahzan aadmi rahnuma aadmi Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now