iqrar ka matlab ho ki inkar ke mani
iqrār kā matlab ho ki inkār ke ma.anī
koī to ho samjhe mirī guftār ke ma.anī
us jaisā koī ho to kahe us kī misāleñ
ho yaar sā koī to kare yaar ke ma.anī
ye jism dil-o-jāñ to haiñ bin māñge hī tere
phir kyā haiñ tire dast-e-talabgār ke ma.anī
ik vo ki uThātā gayā buniyād barābar
ik maiñ ki samajhtā gayā dīvār ke ma.anī
bachpan hai javānī hai buḌhāpā hai ye kyā hai
marnā hī agar hai to phir advār ke ma.anī
phūloñ ko phaloñ ko sar-e-afkār sajāyā
ya.anī ki kiye yuuñ lab-o-ruḳhsār ke ma.anī
jaatā hai to jaate hue dil ko bhī jalā jā
jab tū hī na Thahregā to ghar-bār ke ma.anī
har chiiz yahāñ apne lavāzim kī hai muhtāj
sāhab hī na Thahroge to dastār ke ma.anī
ai kaash ki jis ke liye kahtā huuñ maiñ 'tāhir'
vo mujh ko batā.e mire ash.ār ke ma.anī
iqrar ka matlab ho ki inkar ke mani
koi to ho samjhe meri guftar ke mani
us jaisa koi ho to kahe us ki misalen
ho yar sa koi to kare yar ke mani
ye jism dil-o-jaan to hain bin mange hi tere
phir kya hain tere dast-e-talabgar ke mani
ek wo ki uThata gaya buniyaad barabar
ek main ki samajhta gaya diwar ke mani
bachpan hai jawani hai buDhapa hai ye kya hai
marna hi agar hai to phir adwar ke mani
phulon ko phalon ko sar-e-afkar sajaya
yani ki kiye yun lab-o-ruKHsar ke mani
jata hai to jate hue dil ko bhi jala ja
jab tu hi na Thahrega to ghar-bar ke mani
har chiz yahan apne lawazim ki hai muhtaj
sahab hi na Thahroge to dastar ke mani
ai kash ki jis ke liye kahta hun main 'tahir'
wo mujh ko batae mere ashaar ke mani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.