irada ho aTal to moajaza aisa bhi hota hai
irāda ho aTal to mo.ajaza aisā bhī hotā hai
diye ko zinda rakhtī hai havā aisā bhī hotā hai
sunā.ī de na ḳhud apnī sadā aisā bhī hotā hai
miyāñ tanhā.ī kā ik sāneha aisā bhī hotā hai
chhiḌe haiñ taar dil ke ḳhāna-barbādī ke naġhme haiñ
hamāre ghar meñ sāhib rat-jagā aisā bhī hotā hai
bahut hassās hone se bhī shak ko raah miltī hai
kahīñ achchhā to lagtā hai burā aisā bhī hotā hai
kisī ma.asūm bachche ke tabassum meñ utar jaao
to shāyad ye samajh paao ḳhudā aisā bhī hotā hai
zabāñ par aa ga.e chhāle magar ye to khulā ham par
bahut mīThe phaloñ kā zā.iqa aisā bhī hotā hai
irada ho aTal to moajaza aisa bhi hota hai
diye ko zinda rakhti hai hawa aisa bhi hota hai
sunai de na KHud apni sada aisa bhi hota hai
miyan tanhai ka ek saneha aisa bhi hota hai
chhiDe hain tar dil ke KHana-barbaadi ke naghme hain
hamare ghar mein sahib rat-jaga aisa bhi hota hai
bahut hassas hone se bhi shak ko rah milti hai
kahin achchha to lagta hai bura aisa bhi hota hai
kisi masum bachche ke tabassum mein utar jao
to shayad ye samajh pao KHuda aisa bhi hota hai
zaban par aa gae chhaale magar ye to khula hum par
bahut miThe phalon ka zaiqa aisa bhi hota hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 29.08.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.