irfan ki faza mein farzangi se daman
irfān kī fazā meñ farzāngī se dāman
ā.īna sub.h ko ho shab kī namī se dāman
jazbāt kī jilau meñ shā.istagī se dāman
sar-chashma zindagī kā ho zindagī se dāman
ehsās kī ḳhalish se tanhā.ī kī tapish se
rishtoñ kī tāzgī ho tar-dāmanī se dāman
shīsha-garoñ kī qismat abr-e-ravāñ kī qurbat
shola-fishāñ ho varna shīshagarī se dāman
zar kī havas se ḳhālī rūhāniyat kā paikar
maġhrib kī vādiyoñ meñ vābastagī se dāman
'īmān' kī shuā.eñ jalva-numā hoñ jis dam
mīnār raushnī kā ho raushnī se dāman
irfan ki faza mein farzangi se daman
aaina subh ko ho shab ki nami se daman
jazbaat ki jilau mein shaistagi se daman
sar-chashma zindagi ka ho zindagi se daman
ehsas ki KHalish se tanhai ki tapish se
rishton ki tazgi ho tar-damani se daman
shisha-garon ki qismat abr-e-rawan ki qurbat
shola-fishan ho warna shishagari se daman
zar ki hawas se KHali ruhaniyat ka paikar
maghrib ki wadiyon mein wabastagi se daman
'iman' ki shuaen jalwa-numa hon jis dam
minar raushni ka ho raushni se daman
- Book : Shora-e-London (Pg. 39)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.