is aaine se nikal aur KHud ko tanha kar
is aa.ine se nikal aur ḳhud ko tanhā kar
kabhī to sāmne aa ke koī tamāshā kar
maiñ duur hotī chalī jā rahī huuñ markaz se
mujhe sameT mire dā.ere ko chhoTā kar
hujūm-e-kizb-o-riyā se bachā le aa ke zarā
vajūd-e-sidq-o-safā meñ mujhe akelā kar
har ek baat bayāñ karne kī nahīñ hotī
jo an-kahī rahe us baat ko bhī samjhā kar
nahīñ hai kuchh bhī man-o-tū kā imtiyāz yahāñ
ḳhud apnī zaat se bāhar nikal ke sochā kar
is aaine se nikal aur KHud ko tanha kar
kabhi to samne aa ke koi tamasha kar
main dur hoti chali ja rahi hun markaz se
mujhe sameT mere daere ko chhoTa kar
hujum-e-kizb-o-riya se bacha le aa ke zara
wajud-e-sidq-o-safa mein mujhe akela kar
har ek baat bayan karne ki nahin hoti
jo an-kahi rahe us baat ko bhi samjha kar
nahin hai kuchh bhi man-o-tu ka imtiyaz yahan
KHud apni zat se bahar nikal ke socha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.